اقرأ باسم ربك الذي خلق

Saturday, December 5, 2020

Surah Nasr

Shuru karta hu Allah ke naam se jo bada maherbaan nihayat raham wala hai

1. Jab Allah ki madad aur fateh aa jaaye

2. Aur (aye Nabi) Aap dekh lo ki log fauj dar fauj allah ke deen me dakhil ho rah hai.

3. Toh apne Rab ki hamd ke saath uski tasbeeh karo aur us se magfirat ki duaa maango. Beshak woh bada tawba qubool karne wala hai.

•٠•●●•٠•
Read more »

Friday, December 4, 2020

Surah Fatiha

Shuru karta hu Allah ke naam se jo bada maherbaan nihayat raham wala hai

1. Sab taareef Allah ke liye hai jo tamaam jahaano ka paalne wala hai

2. Bada maherbaan nihayat raham karne wala

3. Badle ke din (yaani) qayaamat ka maalik

4. Ham sirf teri hi ibaadat karte hai aur sirf tuj hi se madad mangte hai

5. (Aye Allah) Hame sidha raasta dikha.

6. Un logo ka raasta jin par tu ne inaam farmaya

7. Na ki unlogo ka raasta jin par gazab nazil hua aur na unka jo bhatke hue hai.

Aameen

Read more »

Friday, January 31, 2020

Surah Masad

1.  Abu lahab ke dono haat toot gaye aur wo (khud) halaak ho gaya.

2.  Na to us ka maal us ke kaam aaya aur na us ki kamaayi.

3.  Wo an-kareeb bhadakne wali aag me jayega.

4.  Aur (us ke saath) us ki biwi bhi lagai bujhai karne wali.

5.  Us ki gardan me moonj (fiber) ki rassi hogi.

•٠•●●•٠•
Read more »

Surah Ikhlaas


1.  Aap kah dijiye ke wo Allah ek (hi) hai.

2.  Allah be niyaaz hai.

3.  Na us se koi paida hua, na wo kisi se paida hua.

4.  Aur na koi us ki tarha hai.

•٠•●●•٠•
Read more »

Surah Falaq

1.  Aap kah dijiye! Ke mai subah ke Rab ki panaah me ata hu.


2.  Har us cheez ke shar se jo us ne paida ki hai.

3.  Aur andheri raat ki taariki ke shar se, jab us ka andhera fayl  jaaye.

4.  Aur girah (laga kar un) me funkne waaliyo ke shar se (bhi).

5.  Aur hasad karne waale ki buraayi se bhi, jab wo hasad kare.

•٠•●●•٠•
Read more »

Surah Naas

1.  Aap kah dijiye! Ke mai logo ke parwardigaar ki panaah me aata hu.

2.  Logo ke Maalik ki (aur)

3.  Logo ke Mabood ki (panaah me)

4.  Was-wasa daalne waale, piche hat jaane waale ke shar se.

5.  Jo logo ke sino me was-wasa daalta hai.

6.  (Khwah) wo Jinn maise ho ya Insaan maise.

•٠•●●•٠•
Read more »